Kya Ghode Ka Gosht Halal Hai

Kya aap bhi is baat ko lekar pareshan hain ki Ghode Ka Gosht halal Hai Ya Haram? Kya Ghode Ka Gosht Halal Hai aur Ghode Ka Gosht Khana Kaisa Hai, In sawalo pe kai salo se Musalmano ke beech bahas hoti chali aa rahi hai.

Yahan tak ki Turkey desh me jo ki ek Muslim aabadi wali country hai, wahan ke kuchh Restauerents aur Markets me bhi Ghode Ka Gosht diya jata hai lekin us gosht ke halal hone par bhi sawal uthta rahta hai.

Aaj ki is post me ham isi sawal ka jawab janne ki koshish karenge aur aapko bataynge ki ghode ka gosht khana kaisa hai. Aur isi se jude kuchh dusre sawalon ke bhi jawab janne ki koshish karenge. Is post ko padhne ke baad aap Proof ke sath jan jayenge ki kya ghode ka gosht halal hai ?  

To chaliye shuru karte hain allah ke name se – 

Kya Ghode Ka Gosht Halal Hai

Ji han, Ghode Ka Gosht Bilkul Halal hai aur islam ne ise khane ki ijazat di hai. Hadees ke mutabiq, Paighambar Huzur ﷺ ne Ghazwa E Khaibar me Ghode Ka Gosht Khane ke liye allow kiya tha jabki Gadhey (Donkey) ke gosht ko haram bataya tha.

Narrated by al-Bukhari, 3982; Muslim, 1941

Islam ke bahut sare bade bade aalimon ne Ghode Ke Gosht ko halal bataya hai aur iske khane ki bhi ijazat di hai.  Lekin phir bhi kuch aalimon ne, hadees me clarity na hone ki wajah se Ghode ke gosht ko Makruh (Haram nahi lekin na khaye to behtar) batay hai.

Quran me Allah ne Farmaya,

وَالْخَيْلَ وَالْبِغَالَ وَالْحَمِيرَ لِتَرْكَبُوهَا وَزِينَةً ۚ وَيَخْلُقُ مَا لَا تَعْلَمُونَ         

 (Surah An-Nahl 16:8

Is aayat se hame ye pata chalta hai ki Allah ne ghodo ko hamare istemal ke liye paida kiya hai jise ham ghode ke halal hone ki daleel bhi samajh sakte hain. Lekin phir bhi kuch aalimon ka aisa manna hai ki is aayat ka matlab ye hai ki Ghode ka istemal ham apni sawari ke liye kar sakte hain na ki uska gosht khaya ja sakta hai.

To ghode ke gosht ke bare me hamare pas alag alag daleel hai, zyadatar aalimo ke mutabiq ye Halal hai wahin kuch ke mutabiq ye Makrooh hai.

To agar aap hamari mane to aapko chahiye ki Ghode ka Gosht agar bahut zaroori na ho to isko khane se bache, kyunki hamare pas iske alawa aur isse achche dusre options available hain.

Bahas Ki Wajah?

Ghode ke gosht se juda ye masla naya nahi hai balki ye Islam ke shuruati dino se chalta hua aa raha hai aur iski sabse badi wajah ye hai ki Hame Ghode Ke Gosht ke halal ya haram hone se judi koi clear bat Hadees aur Quran se nahi milti hai.

Kyun Kuch Log Kahte Hain Ki Ghode Ka Gosht Haram Hai??

Ye bahas jo chalti hua aa rahi hai ki “Ghode Ka Gosht Haram Hai”, iski sabse badi wajah hai Quran ki wo aayat jisme Allah Farmata hai, 

“aur (usne) Ghodo aur khachcharo aur Gadho ko paida kiya taki tum un par sawari kar sako aur wo tumhare liye zeenat ka baes bhi ho, aur wo aur bhi aisi zeenat wali sawariyon ko paida farmayega jinhen tun aaj nahi jante”

Is aayat ka matlab normally aise nikala jata hai ki Allah ne ghode ko paida kiya hai hamari sawari aur hamari zeenat ke liye.

Aur kuch aalimon ka isi wajah se manna hai ki chunki Allah ne Quran ki is aayat men Ghode ke gosht ke halal hone ke bare me nahi bataya hai isliye ye hamare liye Haram hai. Unka manna hai ki agar ghode ka gosht khana halal hota to hame is aayat me saaf saaf wo bat mil jati jo ki nahi milti hai.

Lekin phir bhi ye daleel poori tarah se saare aalimo ke nazdeek accept nahi ki jati hai, jiski wajah se hame alag alag opinion dekhne ko milte hain.

Kyun Kuch Log Kahte Hain Ki Ghode Ka Gosht Halal Hai??

Zyadatar Muslamano ke nazdeek Ghode Ke Gosht ko halal batay gaya hai aur uski sabse badi wajah ye hai ki Huzoor ﷺ ne Jang-e-Khaibar ke dauran Ghode Ke Gosht ko khane ka hukm diya tha.

Aur quran ki pichhli aayat jo hamne aapko bataya uske bare me unka kahna hai ki us aayat me kahin ye bhi saaf saaf nahi likha hua hai ki Ghode Ka Gosht nahi khaya ja sakta hai balki wahan pe sirf ghode ke istemal ke bare me bataya gaya hai 

In sabke alawa unka kahna hai ki  al-Bukhari, 5191; Muslim, 1942 ki hadees ke mutabiq, unhone Huzoor ke zamane me ghode ko zabah karke uska gosht bhi khaya tha.

To in daleel aur Proofs ke mutabiq, unka manna hai ki Ghode ka gosht Halal hai. 

Aakhir me ham ye aapko phir se batana chahenge ki, chunki is masle pe koi clear baat nahi pata chalti hai aur Aalimo ke beech isko lekar confusions bana hua hai, to ham aur aapke liye behtar yahi hoga ki Ghode Ka Gosht jahan tak ho sake na khaye balki uski jagah dusre achche aur behtar options jo amae pas hain, unka use kiya jaye.

Lekin phir bhi agar aapke paas aur dusri koi option nahi hai, aur agar aapki zindagi bachane ke liye yahi ek last option hai to, islam ke rules ke according, aap Ghode Ka Gosht kha sakte hain.

FAQs

Kya Ghode Ka Gosht Halal Hai?

 Yes, Ji Han bilkul zyadatar aalimo ke according, Ghode ka gosht Halal hai, aur kuchh ke according ye Makrooh hai.

Kya Gadhey Ka Gosht Halal Hai?

No, Bilkul Nahi, Gadhey Ka Gosht Islam me Bilkul Haram hai, Hadees Ke Mutabiq. 

(Narrated by al-Bukhari, 3982; Muslim, 1941)

Conclusion

Islam mein ghode ke Gosht ke halaal hone ka ye masla sadiyon se bahas ka mudda bana hua hai. Jahan kuchh log ise Makrooh ya Naapasand maanate hain, vaheen zyadatar logon ka maanana ​​hai ki ye Halal hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *